ziṅdgī se ulajh ke sārā din maikśhoṅ ye bhī kām kar lenā
yāni apne lie bhī thoṛā sā śhām kā iṅtazām kar lenā
ziṅdgī se ulajh ke …
bas yahī to hai ek darvāzā baṅd hote jise nahīṅ dekhā
kū-e-jānāṅ meṅ jab jagah nā mile maikde meṅ kayām kar lenā
yāni apne lie …
ai havā aur kyā saṅdesā dūṅ jab guzarnā śharābkhāne se
merī jānib se ek pal ruk kar maikśhoṅ ko salām kar lenā
yāni apne lie …
sach to ye hai ke iśhq kī yāroṅ koī tahazīb hī nahīṅ hotī
kisī bastī meṅ kāṭ lenā din kisī kūche meṅ śhām kar lenā
yāni apne lie …