ye dil, ye pāgal dil merā, kyoṅ bujh gayā, āvārgī
is daśht meṅ ik śhahar thā, vo kyā huā, āvārgī
kal śhab mujhe be-śhakla sī, āvāz ne chauṇkā diyā
maiṅne kahā tū kaun hai, usne kahā, āvārgī
ik tū ki sadiyoṅ se, mere ham-rāh bhī ham-rāz bhī
ik maiṅ ki tere nām se na-āśhnā, āvārgī
ye dard kī tanhāiyāṇ, ye daśht kā vīrāṅ safar
ham log to uktā gaye apnī sunā, āvārgī
ik ajanbī jhoṅke ne pūchhā, mere ġham kā sabab
sahrā kī bhīgī ret maiṅne likhā, āvārgī
le ab to daśht-e-śhab kī, sārī vus'ateṅ sone lagīṅ
ab jāgnā hogā hameṅ kab tak batā, āvārgī
kal rāt tanhā chāṇd ko, dekhā thā maiṅne khvāb meṅ
'mohsin' mujhe rās āyegī śhāyad sadā, āvārgī
% useful, agrīable, to suit