māṇ
vaṅde mātaram
yahāṇ-vahāṇ sārā jahāṇ dekh liyā hai
kahīṅ bhī tere jaisā koī nahīṅ hai
assī nahīṅ sau din duniyā ghūmā hūṇ
nahīṅ kahīṅ tere jaisā koī nahīṅ hai
maiṅ gayā jahāṇ bhī bas terī yād thī
jo mere sāth thī mujh ko taṛpātī-rulātī
sab se pyārī terī sūrat pyār hai bas terā pyār hī
māṇ tujhe salām
ammā tujhe salām
jahāṇ tū hai vahāṇ maiṅ terā hūṇ divānā maiṅ
jhūmūṇ nāchuṅ gāūṇ tere pyār kā tarānā maiṅ
chaṅdā nahīṅ sūraj nahīṅ duiyā kī daulat nahīṅ
bas lūṭūṇgā tere pyār kā khazānā
ek nazar jab terī
hotī hai pyār kī
duniyā tab to merī chamke damke mahke re
terā chehrā sūraj jaisā chāṇd sī ṭhaṇḍ hai pyār meṅ
tere pās hī maiṅ ā rahā hūṇ apnī bāṇheṅ khol de
jor se mujhko gale lagā le mujhko phir vo pyār de
māṇ māṇ māṇ
tū hī ziṅdgī hai tū hī merī mohabbat hai
tere hī pairoṅ meṅ jannat hai tū hī dil tū jāṇ māṇ
%(the pardise lies only in your feet, you are my heart, you are my life, oh mother!)