sāṇjh bhaī ghar ājā re piyā
sāṇjh bhaī ghar ājā
(din to ḍūbā, ḍūb nā jāye)-2
ās kā sūraj, ā jā re
sāṇjh bhaī ghar ājā re piyā
sāṇjh bhaī ghar ājā
dūr mile vo ambar dhartī
rāt milī hai din se
tere pī kahāṇ haiṅ pūchhe
purvā mujh birahan se
(samajh nā pāūṇ kyā batlāūṇ)-2
tū hī ye batlā jā re
sāṇjh bhaī ghar ājā re piyā
sāṇjh bhaī ghar ājā
ban gaī terī āhaṭ mere
sūne man kī dhaṛkan
sāṇs bhī lūṇ to yūṇ lagtā hai
āyā merā sājan
(kāṇptī palkoṅ pe asuvan ke)-2
jalte dīp bujhā jā re
sāṇjh bhaī ghar ājā re piyā
din to ḍūbā, ḍūb nā jāye
ās kā sūraj, ā jā re
sāṇjh bhaī ghar ājā re piyā
sāṇjh bhaī ghar ājā