Title (Indic)पत्थर है खुदा, पत्थर के सनम् WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Music Jagjit Singh Writer Sudarshan Faakir LyricsHindiपत्थर है खुदा, पत्थर के सनम, पत्थर के ही इनसान पाए हैं तुम शहर-ए-मोहब्बत कहते हो, हम जान बचाके आए हैं बुतख़ाना समझते हो जिसको, पूछो न वहाँ क्या हालत है हम लोग वहीं से लौटे हैं, बस शुक्र है के लौट आए हैं हम सोच रहे हैं मुद्दत से, अब उम्र गुज़ारेंगे भी तो कहाँ सहरा में ख़ुशी के फूल नहीं, शरओं मे ग़मी के साए हैं होंठों पे तबस्सुम हलका सा, आँखों में नमी सी है फ़ाकिर हम अह्ल-ए-मोहब्बत पर अक्सर ऐसे भी ज़माने आए हैं पत्थर है खुदा … Englishpatthar hai khudā, patthar ke sanam, patthar ke hī insān pāe haiṅ tum śhahar-e-mohabbat kahte ho, ham jān bachāke āe haiṅ butakhānā samajhte ho jisko, pūchho na vahāṇ kyā hālat hai ham log vahīṅ se lauṭe haiṅ, bas śhukra hai ke lauṭ āe haiṅ ham soch rahe haiṅ muddat se, ab umr guzāreṅge bhī to kahāṇ sahrā meṅ khuśhī ke phūl nahīṅ, śharaoṅ me ġhamī ke sāe haiṅ hoṅṭhoṅ pe tabassum halkā sā, āṇkhoṅ meṅ namī sī hai fākir ham ahl-e-mohabbat par aksar aise bhī zamāne āe haiṅ patthar hai khudā …