o maiṅ royā pardes meṅ, bhīgā māṇ kā pyār
dukh ne dukh se bāt kī, bin chiṭhṭhī bin tār
chhoṭā karke dekhiye, jīvan kā vistār
āṇkhoṅ bhar ākāśh hai, bāhoṅ bhar saṅsār
e leke tan ke nāp ko, ghūme bastī gāṇv
har chādar ke gher se bāhar nikle pāṇv
sabkī pūjā ek sī, alag-valag har rīt
masjid jāe maulvī, koyal gāe gīt
pūjā ghar meṅ mūrtī, mīr ke saṅg śhyām
jiskī jitnī chākrī, utne uske dām
sātoṅ din bhagvān ke, kyā maṅgal kyā pīr
jis din soe der tak, bhūkā rahe fakīr
achchhī saṅgat baiṭhkar, saṅgī badle rūp
jaise milkar ām se, mīṭhī ho gaī dhūp
sapnā jharnā nīṅd kā, jāgī āṇkheṅ pyās
pānā khonā khojnā, sāṇsoṅ kā itihās
chāhe gītā vāchie, yā paṛhie qurān
merā terā pyār hī, har pustak kā jñān