nā uṛā yūṅ ṭhokroṅ se
merī khāk-e-kabr zālim
yahī ek rah gaī hai
merī pyār kī niśhānī
fāsle aise bhī hoṅge
ye kabhī sochā nā thā
sāmne baiṭhā thā mere
aur vo merā nā thā
vo ke khuśhbū kī tarah
failā thā mere chārsū
maiṅ use mahsūs kar saktā thā
chhū saktā nā thā
rāt bhar pichhlī hī āhaṭ
kān meṅ ātī rahī
jhanak kar dekhā galī meṅ
koī bhī āyā nā thā
yād karke aur bhī
taklīf hotī thī adīm
bhūl jāne ke sivā
ab koī bhī chārā nā thā