mujhe khāmośh rahne do, mujhe khāmośh rahne do
guzartī hai jo is dil par mere aśhkoṅ ko kahne do
mujhe khāmośh rahne do-
mere zakham-e-jigar kyoṅ dekhte haiṅ dekhne vāle
kare gā kyā koī sun kar merī āhaiṅ mere nāle
merī āṇkhoṅ se motī pyār ke bahte haiṅ bahne do
guzartī hai jo is dil par mere aśhkoṅ ko kehne do
mujhe khāmośh rahne do-
ye dil merā hai ġham merā,ṭaṛap merī, fuġhāṅ merī
karegā kyā koī sun kar ye ġham kī dāstāṅ merī
khuśhī se dard sahtā hūṅ, khuśhī se dard sahne do
guzartī hai jo is dil par mere aśhkoṅ ko kehne do
mujhe khāmośh rahne do-