maiṅ gvālo rakhvālo maiyyā
mākhan nāhi churāyo
kaun kamī mākhan kī apne jo maiṅ par-ghar jāūṇ
rāj meṅ tere chāhe jitno khāūṇ aur khilāūṇ
chor na hove lāl tihāro
kāhe man bharmāyo, kāhe man bharmāyo
maiṅ gvālo rakhvālo maiyyā …
tū maiyy hai sneh ki jyoti hum sab teri kirṇe
tere āṇchal kī chhāyā meṅ behte sukh kī jharne
tere charṇoṅ kī dhūlī meṅ
maiyyā svag.ra samāyo, maiyyā svag.ra samāyo
maiṅ gvālo rakhvālo maiyyā …
bṛj ko mākhan mero mākhan nāhi ye barjorī
ye adhikār janam ko mero kaun kahe ye chorī
vo mūrakh agyāni jisne
mohe chor batāyo, mohe chor batāyo
maiṅ gvālo rakhvālo maiyyā …