Title (Indic)कैसे छुपाऊँ राज़-ए-ग़म् WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Mehdi Hassan Writer Hasrat Mohani LyricsHindiकैसे छुपाऊँ राज़-ए-ग़म, दीदा-ए-तर को क्या करूँ दिल की तपिश को क्या करूँ, सोज़-ए-जिगर को क्या करूँ शोरिश-ए-आशिक़ी कहाँ और मेरी सादगी कहाँ हुस्न को तेरे क्या करूँ, अपनी नज़र को क्या करूँ ग़म का न दिल में हो गुज़र, वस्ल की शब हो यूँ बसर सब ये क़ुबूल है मगर आब-ए-सहर को क्या करूँ हाल मेरा था जब ब-तू तब न तुझे हुई ख़बर बाद मेरे जो हुआ असर अब मैं असर को क्या करूँ Englishkaise chhupāūṇ rāz-e-ġham, dīdā-e-tar ko kyā karūṇ dil kī tapiśh ko kyā karūṇ, soz-e-jigar ko kyā karūṇ śhoriśh-e-āśhiqī kahāṇ aur merī sādgī kahāṇ husn ko tere kyā karūṇ, apnī nazar ko kyā karūṇ ġham kā na dil meṅ ho guzar, vasl kī śhab ho yūṇ basar sab ye qubūl hai magar āb-e-sahar ko kyā karūṇ hāl merā thā jab ba-tū tab na tujhe huī khabar bād mere jo huā asar ab maiṅ asar ko kyā karūṇ