kachche raṅg utar jāne do
mausam hai guzar jāne do
vo kab tak intazār kartī
kohre meṅ khaṛā huā pul to nazar ā rahā thā
lekin uske sire nazar nahīṅ āte the
kabhī lagtā uske donoṅ sire ek hī taraf haiṅ
aur kabhī lagtā is pul kā koī sirā nahīṅ hai
śhām bujh rahī thī aur āne vāle kī koī āhaṭ nahīṅ thī kahīṅ
nīche bahtā dariyā kah rahā thā
āo mere āġhośh meṅ ā jāo
maiṅ tumhārī badnāmī ke sāre dāg chhupā lūṅgā
maṭṭī ke is śharīr se bahut khel chuke
is khilaune ke raṅg ab utarne lage haiṅ
kachche raṅg utar jāne do …
nadī meṅ itnā hai pānī sab dhul jāegā
maṭṭī kā ṭīlā hai ye ghul jāegā
itnī sī maṭṭī hai dariyā ko bahnā hai
dariyā ko bahne do sāre raṅg bikhar jāne do