Title (Indic)कातिर से या लिहाज़ से मैं मान तो गया WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Ghulam Ali Writer Daag LyricsHindiख़ातिर से या लिहाज़ से मैं मान तो गया झूठी क़सम से आपका ईमान तो गया दिल ले के मुफ़्त कहते हैं कुछ काम का नहीं उल्टी शिक़ायतें रहीं एहसान तो गया अफ़्शा-ए-राज़-ए-इश्क़ में गो जिल्लतें हुईं लेकिन उसे जता तो दिया जान तो गया होश-ओ-हवास-ओ-ताब-ओ-तवाँ 'दाग़्' जा चुके अब हम भी जाने वाले हैं सामान तो गया डरता हूँ देख कर दिल-ए-बेआरज़ू को मैं सुनसान घर ये क्यूँ न हो मेहमान तो गया क्या आई राहत आई जो कुंज-ए-मज़ार में वो वलवला वो शौक़ वो अरमान तो गया देखा है बुतकदे में जो ऐ शेख कुछ न पूछ ईमान की तो ये है कि ईमान तो गया गो नामाबर से कुछ न हुआ पर हज़ार शुक्र मुझको वो मेरे नाम से पहचान तो गया बज़्म-ए-उदू में सूरत-ए-परवाना मेरा दिल गो रश्क़ से जला तेरे क़ुर्बान तो गया Englishkhātir se yā lihāz se maiṅ mān to gayā jhūṭhī qasam se āpkā īmān to gayā dil le ke muft kahte haiṅ kuchh kām kā nahīṅ ulṭī śhiqāyteṅ rahīṅ ehsān to gayā afśhā-e-rāz-e-iśhq meṅ go jillteṅ huīṅ lekin use jatā to diyā jān to gayā hośh-o-havās-o-tāb-o-tavāṇ 'dāġh' jā chuke ab ham bhī jāne vāle haiṅ sāmān to gayā ḍartā hūṇ dekh kar dil-e-beārazū ko maiṅ sunsān ghar ye kyūṇ na ho mehmān to gayā kyā āī rāhat āī jo kuṅj-e-mazār meṅ vo valavlā vo śhauq vo armān to gayā dekhā hai butakde meṅ jo ai śhekh kuchh na pūchh īmān kī to ye hai ki īmān to gayā go nāmābar se kuchh na huā par hazār śhukra mujhko vo mere nām se pahchān to gayā bazam-e-udū meṅ sūrat-e-parvānā merā dil go raśhq se jalā tere qurbān to gayā