ġhulam āli Version
jabse tūne mujhe dīvānā banā rakhā hai
saṅg har śhakhs ne hāthoṅ meṅ uṭhā rakhā hai
uske dil par bhī kaṛī iśhq meṅ guzrī hogī
nām jisne bhī muhabbat kā sazā rakhā hai
patthroṅ āj mere sar pe baraste kyūṇ ho
maiṅne tujhko bhī kabhī apnā khudā rakhā hai
ab mere dīd kī duniyā bhī tamāśhāī hai
tūne kyā mujhko mohabbat meṅ banā rakhā hai
kisī kā kyā jo kadmoṅ par zabīn-e-bandgī rakh dī
hamārī chīz thī hamne jahāṇ jānī vahāṇ rakh dī
jo dil māṅgā to vo bole ke ṭhahro yād karne do
zarā sī chīz thī hamne khudā jāne kahāṇ rakh dī
jabse tūne mujhe dīvānā banā rakhā hai
saṅg har śhakhs ne hāthoṅ meṅ uṭhā rakhā hai
sunā hai ġhair kī mahafil meṅ tum nā jāoge
kaho to āj sajā lūṇ ġharībakhāne ko
uske dil par bhī kaṛī iśhq meṅ guzrī hogī
nām jisne bhī muhabbat kā sazā rakhā hai
duniyā baṛī bāvrī patthar pūjne jāye
ghar kī chakkī koī na pūje jiskā pīsā khāye
patthroṅ āj mere sar pe baraste kyūṇ ho
maiṅne tumko bhī kabhī apnā khudā rakhā hai
mar bhī jāūṇ to dafnā denā mayakhāne meṅ
tāke mayakhāne kī miṭṭī rahe mayakhāne meṅ
har raṅg meṅ iblīs sazā detā hai
iṅsāṇ ko ba-har taur daġhā detā hai
kar sakte nahīṅ ġhunāh jo ahmak log
unko berūh nimāzūṅ meṅ lagā detā hai
pī jā ayyām kī talkhī ko bhī hṇs ke 'nāsir'
ġham ko sahne meṅ bhī qudarat ne mazā rakhā hai