iśhq meṅ kyā batāyeṅ ki dono
kis qadar choṭ khāye hue haiṅ
maut ne unko mārā hai aur ham
ziṅdgī ke satāye hue haiṅ
ai lahad apnī miṭṭī se kah de
dāg lagne na pāye qafan ko
āj hī hamne badle haiṅ kapaṛe
āj hī ham nahāye hue haiṅ
usne śhādī kā joḍā pahan kar
sirf chūmā thā mere badan ko
bas usī din se jannat meṅ hureṅ
mujhko dūlhā banāye hue haiṅ
ab hameṅ to fakat ek aisī
chaltī firtī huī lāśh kahiye
jin kī maiyat meṅ had hai ke ham khud
apnā kaṅdhā lagāye hue haiṅ
dekh sāqī tere mayakde kā
kitnā pahuṇchā huā rind huṅ maiṅ
jitne āye haiṅ maiyat meṅ merī
sab ke sab hī lagāye hue haiṅ