Solo Version: gaye dinoṅ kā surāġh lekar kidhar se āyā kidhar gayā vo
ajīb mānūs ajanbī thā mujhe to hairān kar gayā vo
vo hijr kī rāt kā sitārā vo ham-nafas ham-sukhan hamārā
sadā rahe uskā nām pyārā sunā hai kal rāt mar gayā vo
vo rāt kā be-navā musāfir vo terā śhāir vo terā 'nāsir'
terī galī tak to hamne dekhā thā phir na jāne kidhar gayā vo
bas ek motī sī chhab dikhākar bas ek mīṭhī sī dhun sunākar
sitārā-e-śhām ban ke āyā ba-raṅg-e-khāb-e-sahar gayā vo
khuśhī kī rāt ho yā ġham kā mausam nazar use ḍhūṇḍhtī hai hardam
vo bū-e-gul thā ki naġhmā-e-jāṇ mere to dil meṅ utar gayā vo
na ab vo yādoṅ kā chaṛhtā dariyā na furstoṅ kī hai os barkhā
yūṇhī zarā sī kasak hai dil meṅ jo zakhm gahrā thā bhar gayā vo
kuchh ab sambhalne lagī hai jāṇ bhī badal chalā daur-e-āsmāṇ bhī
jo rāt bhārī thī ṭal gaī hai jo din kaṛā thā guzar gayā vo
bas ek maṅzil hai bul-havas kī hazār raste haiṅ ahal-e-dil ke
yahī to hai farq mujhmeṅ usmeṅ guzar gayā maiṅ ṭhahar gayā vo
śhikastā-pā rāh meṅ khaṛā hūṇ gaye dinoṅ ko bhū rahā hūṇ
jo qāfilā merā hamasafar thā misāl-e-gard-e-safar gayā vo
merā to khūṇ ho gayā hai pānī sitamagroṅ kī palak na bhīgī
jo nālā uṭṭhā thā rāt dil se na jāne kyūṇ be-asar gayā vo
vo mayakde ko jagāne vālā vo rāt kī nīṅd uṛāne vālā
ye āj kyā uske jī meṅ āī ki śhām hote hī ghar gayā vo
vo jiske śhāne pe hāth rakh kar safar kiyā tūne maṅziloṅ kā
terī galī se na jāne kyūṇ āj sar jhukāye guzar gayā vo