duniyā banī to hamd-o-sunā ban gaī ġhazal
utrā jo nūr, nūr-e-khudā ban gaī ġhazal
gūṇjā jo nād brahm, banī raqs-e-mahar-o-mān
zarre jo thar-tharrāe, sadā ban gaī ġhazal
chamkī kahīṅ jo barq to aihsās ban gaī
chhāī kahīṅ ghaṭā to adā ban gaī ġhazal
āṇdhī chalī to kahar ke sāṇche meṅ ḍhal gaī
bād-e-sabā chalī to naśhā ban gaī ġhazal
haivāṅ banā to bhūkh banī, be-basī banī
insān bane to jazab-e-vafā ban gaī ġhazal
uṭhā jo dard-e-iśhq to aśhqoṅ meṅ ḍhal gaī
bechainiyāṇ baṛhīṅ to duā ban gaī ġhazal
zāhid ne pī to jām-e-pannā ban ke rah gaī
riṅdoṅ ne pī to jām-e-bāqā ban gaī ġhazal
arz-e-dakkan meṅ jān to dehlī meṅ dil banī
aur śhahar lakhnaū meṅ hinnā ban gaī ġhazal
dohe, rubāī, nazmeṅ sab "tarz" the magar
asnāf-e-śhāyrī kā khudā ban gaī ġhazal