der lagī āne meṅ tumko śhukra hai phir bhī āye to
ās ne dil kā sāth na chhoṛā thoṛā ham ghabrāye to
śhafaq dhanak mahtāb ghaṭāeṅ tāre naġhme bijlī phūl
us dāman meṅ kyā kyā kuchh hai vo dāman hāth meṅ āye to
chāhat ke badle meṅ ham to bech deṅ apnī marzī tak
koī mile to dil kā gāhar koī hameṅ apnāe to
jhūṭh hai sab tārīkh hameśhā apne ko dohrātī hai
achchhā merā khāb-e-javānī thoṛā sā dohrāe to