Title (Indic)भूली हुई सदा हूँ मुझे याद कीजिये WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Ghulam Ali Writer Saghar Siddiqui LyricsHindiप्रेलुदे गुज़र तो जायेगी तेरे बग़ैर भी लेकिन बहुत उदास बहुत बेक़रार गुज़रेगी भूली हुई सदा हूँ मुझे याद कीजिये तुमसे कहीं मिला हूँ मुझे याद कीजिये मंज़िल नहीं हूँ ख़िज़्र नहीं राहज़न नहीं हूँ मंज़िल का रास्ता हूँ मुझे याद कीजिये मेरी निगाह-ए-शौक़ से हर गुल है देवता मैं इश्क़ का ख़ुदा हूँ मुझे याद कीजिये नग़्मों की इब्तिदा थी कभी मेरे नाम से अश्क़ों की इंतिहाँ हूँ मुझे याद कीजिये गुमसुम खड़ी हैं दोनों जहाँ की हक़ीक़तें मैं उनसे कह रहा हूँ मुझे याद कीजिये 'सागर्' किसी के हुस्न-ए-तग़ाफ़ुल-शआर की बहकी हुई अदा हूँ मुझे याद कीजिये Englishprelude guzar to jāyegī tere baġhair bhī lekin bahut udās bahut beqrār guzregī bhūlī huī sadā hūṇ mujhe yād kījiye tumse kahīṅ milā hūṇ mujhe yād kījiye maṅzil nahīṅ hūṇ khizar nahīṅ rāhazan nahīṅ hūṇ maṅzil kā rāstā hūṇ mujhe yād kījiye merī nigāh-e-śhauq se har gul hai devtā maiṅ iśhq kā khudā hūṇ mujhe yād kījiye naġhmoṅ kī ibtidā thī kabhī mere nām se aśhqoṅ kī iṅtihāṇ hūṇ mujhe yād kījiye gumsum khaṛī haiṅ donoṅ jahāṇ kī haqīqteṅ maiṅ unse kah rahā hūṇ mujhe yād kījiye 'sāgar' kisī ke husn-e-taġhāful-śhaār kī bahkī huī adā hūṇ mujhe yād kījiye