surmaī śhām ke ujāloṅ se
jab bhī saj dhaj ke rāt ātī hai
bevafā beraham o bedardī
jāne kyūṇ terī yād ātī hai
is javānī ne kyā sazā pāī
reśhmī sej hāy tanhāī
śhokh jazbāt le haiṅ aṅgaṛāī
āṇkheṅ bojhal haiṅ nīṅd harjāī
terī tasvīr terī parchhāī
de ke āvāz phir bulātī hai
āj bhī lamhe vo muhabbat ke
ġharm sāṇsoṅ se lipṭe rahte haiṅ
ab bhī armān terī chāhat ke
mahkī zulfoṅ meṅ simṭe rahte haiṅ
tujhko bhūleṅ to kaise bhūleṅ
bas yahī soch ab satātī hai
vo bhī kyā din the jab ke ham donoṅ
marne jīne kā vādā karte the
jām ho zahar kā yā amrit ka
sāth pīne kā vādā karte the
ye bhī kyā din haiṅ kyā qayāmat hai
ġham to ġham hai khuśhī bhī khātī hai