Title (Indic)हम कि ठहरे अजनबी इतनी मदारातों के बाद् WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Ghulam Ali Writer Faiz LyricsHindiहम कि ठहरे अजनबी इतनी मदारातों के बाद फिर बनेंगे आश्ना कितनी मुलाक़ातों के बाद कब नज़र में आयेगी बेदाग़ सब्ज़े की बहार ख़ून के धब्बे धुलेंगे कितनी बरसातों के बाद थे बहुत बे-दर्द ख़त्म-ए-दर्द-ए-इश्क़ के थीं बहुत बेसब्र सुबहें मेहरबाँ रातों के बाद दिल तो चाहा पर शिकस्त-ए-दिल ने मोहलत ही न दी कुछ गिले शिकवे भी कर लेते मुनाजातों के बाद उनसे जो कहने गये थे 'फ़ैज़्' जाँ-सदक़े किये अनकही ही रह गई वो बात सब बातों के बाद् Englishham ki ṭhahre ajanbī itnī madārātoṅ ke bād phir baneṅge āśhnā kitnī mulāqātoṅ ke bād kab nazar meṅ āyegī bedāġh sabze kī bahār khūn ke dhabbe dhuleṅge kitnī barsātoṅ ke bād the bahut be-dard khatm-e-dard-e-iśhq ke thīṅ bahut besabr subheṅ meharbāṇ rātoṅ ke bād dil to chāhā par śhikast-e-dil ne mohlat hī na dī kuchh gile śhikve bhī kar lete munājātoṅ ke bād unse jo kahne gaye the 'faiz' jāṇ-sadaqe kiye anakhī hī rah gaī vo bāt sab bātoṅ ke bād