Title (Indic)ऐ दर्द-ए-हिज्र-ए-यार ग़ज़ल कह रहा हूँ मैं WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Ghulam Ali LyricsHindiऐ दर्द-ए-हिज्र-ए-यार ग़ज़ल कह रहा हूँ मैं बे-मौसम-ए-बहार ग़ज़ल कह रहा हूँ मैं मेरे बयान-ए-ग़म का तसलसुल न टूट जाये ग़ेसू ज़रा सँवार ग़ज़ल कह रहा हूँ मैं राज़-ओ-नयाज़-ए-इश्क़ में क्या दख़्ल है तेरा हट फ़िक़्र-ए-रोज़गार ग़ज़ल कह रहा हूँ मैं साक़ी बयान-ए-शौक़ में रंगीनियाँ भी हों ला जाम-ए-ख़ुश-गवार ग़ज़ल कह रहा हूँ मैं तुझसा सुखन-शनास कोई दूसरा नहीं सुन ऐ ख़याल-ए-यार ग़ज़ल कह रहा हूँ मैं Englishai dard-e-hijr-e-yār ġhazal kah rahā hūṇ maiṅ be-mausam-e-bahār ġhazal kah rahā hūṇ maiṅ mere bayān-e-ġham kā tasalsul na ṭūṭ jāye ġhesū zarā sṇvār ġhazal kah rahā hūṇ maiṅ rāz-o-nayāz-e-iśhq meṅ kyā dakhl hai terā haṭ fiqr-e-rozgār ġhazal kah rahā hūṇ maiṅ sāqī bayān-e-śhauq meṅ raṅgīniyāṇ bhī hoṅ lā jām-e-khuśh-gavār ġhazal kah rahā hūṇ maiṅ tujhsā sukhan-śhanās koī dūsrā nahīṅ sun ai khayāl-e-yār ġhazal kah rahā hūṇ maiṅ