Title (Indic)आधी रात को ये दुनिया वाले WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Ghulam Ali LyricsHindiआधी रात को ये दुनिया वाले जब ख़ाबों में खो जाते हैं ऐसे में मुहब्बत के रोगी यादों के चराग़ जलाते हैं करते हैं मुहब्बत सब ही मगर हर दिल को सिला कब मिलता है आतीं हैं बहारें गुलशन में हर फूल मगर कब खिलता है मैं राँझा न था तू हीर न थी हम अपना प्यार निभा न सके यूँ प्यार के ख़्वाब बहुत देखे ताबीर मगर हम पा न सके मैंने तो बहुत चाहा लेकिन तू रख ना सकी वादों का भरम अब रह रह कर याद आता है जो तूने किया इस दिल पे सितम पर्दा जो हटा दूँ चेहरे से तुझे लोग कहेंगे हरजाई मजबूर हूँ मैं दिल के हाथों मन्ज़ूर नहीं तेरी रुस्वाई सोचा है के अपने होंठों पर मैं चुप की मोहर लगा लूँगा मैं तेरी सुलगती यादों से अब इस दिल को बहला लूँगा Englishādhī rāt ko ye duniyā vāle jab khāboṅ meṅ kho jāte haiṅ aise meṅ muhabbat ke rogī yādoṅ ke charāġh jalāte haiṅ karte haiṅ muhabbat sab hī magar har dil ko silā kab miltā hai ātīṅ haiṅ bahāreṅ gulaśhan meṅ har phūl magar kab khiltā hai maiṅ rāṇjhā na thā tū hīr na thī ham apnā pyār nibhā na sake yūṇ pyār ke khvāb bahut dekhe tābīr magar ham pā na sake maiṅne to bahut chāhā lekin tū rakh nā sakī vādoṅ kā bharam ab rah rah kar yād ātā hai jo tūne kiyā is dil pe sitam pardā jo haṭā dūṇ chehre se tujhe log kaheṅge harjāī majbūr hūṇ maiṅ dil ke hāthoṅ manzūr nahīṅ terī rusvāī sochā hai ke apne hoṅṭhoṅ par maiṅ chup kī mohar lagā lūṇgā maiṅ terī sulagtī yādoṅ se ab is dil ko bahlā lūṇgā