Title (Indic)आशियाँ जल गया गुलसिताँ लुट गया WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Habib Wali Mohammad LyricsHindiआशियाँ जल गया गुलसिताँ लुट गया अब क़फ़स से निकल कर किधर जायेंगे कितने मानूस सैयाद से हो गये अब रिहाई मिलेगी तो मर जायेंगे आशियाँ जल गया … काले काले वो गेसू शिकन-दर-शिकन वो तबस्सुम का आलम, चमन-दरचमन खींच ली उन की तसवीर दिल ने मेरे अब वो दामन बचा कर किधर जायेंगे आशियाँ जल गया … और कुछ दिन ये दस्तूर-ए--मैख़ाना है तश्नक़ामी के ये दिन गुज़र जायेंगे मेरे साक़ी को नज़रें उठाने तो दो जितने खाली हैं सब जाम भर जायेंगे आशियाँ जल गया … अश्क़-ए-ग़म ले के आख़िर कहाँ जायें हम आँसुओं की यहाँ कोई क़ीमत नहीं आप ही अपना दामन बढ़ा दीजिये वरना मोती ज़मीं पर बिखर जायेंगे आशियाँ जल गया … ऐ नसीम-ए-सहर तुझ को उन की क़सम उन से जा कर न कहना मेरा हाल-ए-ग़म मेरे मिटने का डर तो नहीं है मुझे डर ये है उन के गेसू बिखर जायेंगे आशियाँ जल गया … Englishāśhiyāṇ jal gayā gulsitāṇ luṭ gayā ab qafas se nikal kar kidhar jāyeṅge kitne mānūs saiyād se ho gaye ab rihāī milegī to mar jāyeṅge āśhiyāṇ jal gayā … kāle kāle vo gesū śhikan-dar-śhikan vo tabassum kā ālam, chaman-darchaman khīṅch lī un kī tasvīr dil ne mere ab vo dāman bachā kar kidhar jāyeṅge āśhiyāṇ jal gayā … aur kuchh din ye dastūr-e--maikhānā hai taśhnaqāmī ke ye din guzar jāyeṅge mere sāqī ko nazreṅ uṭhāne to do jitne khālī haiṅ sab jām bhar jāyeṅge āśhiyāṇ jal gayā … aśhq-e-ġham le ke ākhir kahāṇ jāyeṅ ham āṇsuoṅ kī yahāṇ koī qīmat nahīṅ āp hī apnā dāman baṛhā dījiye varnā motī zamīṅ par bikhar jāyeṅge āśhiyāṇ jal gayā … ai nasīm-e-sahar tujh ko un kī qasam un se jā kar na kahnā merā hāl-e-ġham mere miṭne kā ḍar to nahīṅ hai mujhe ḍar ye hai un ke gesū bikhar jāyeṅge āśhiyāṇ jal gayā …