āṅ....
kabhī śhākh-o-sabzā-o-barg par
kabhī ġhuṅchā-o-gul-o- khār par
maiṅ chaman meṅ chāhe jahāṇ rahūṇ
merā haq hai fasal-e-bahār par
maiṅ chaman meṅ chāhe jahāṇ rahūṇ
mujhe de na ġhaib meṅ dhamkiyāṅ
gireṅ lākh bār ye bijliyāṅ
merī sar tanak yahī āśhiyāṅ
merī milkiyat yahī pyār par
merī sar tanak yehī āśhiyāṅ
merī simṭ se use ai sabā
ye payām-e-ākhir-e-ġham sunā
abhī dekhnā ho to dekh jā
ke khizāṅ hai apnī bahār par
abhī dekhnā ho to dekh jā
ye fareb-e-jalvā-e-sar basar
mujhe ḍar hai ye dil-e-bekhbar
kahīṅ jam na jāye terī nazar
inhīṅ chaṅd naqśh-o-nigār par
kabhī śhākh-o-sabzā-o-barg par
ajab iṅqlāb-e-zamānā hai
merā muqtasar sā fasānā hai
ye jo āj bār hai dośh par
yahī sar thā zāno-e-yār par
kabhī śhākh-o-sabzā-o-barg par
maiṅ rahīn-e-dad.ra sahī magar
mujhe aur kyā chāhiye `jigar'
ġham-e-yār hai merā śheftā
maiṅ fareftā ġham-e-yār par
kabhī śhākh-o-sabzā-o-barg par