ye maiṅ kahāṅ āke phaṅs gayā
nā jośh hai na hī śhor hai
do hī ghaṛī meṅ ghabrā gayā
yahāṅ ziṅdgī baṛī bor hai
āe nazar nā koī rāstā
kinse paṛā hai merā vāstā
samajh meṅ kuchh bhī āe nā
maiṅ kyā karūṅ bhalā
ye maiṅ kahāṅ …
koī jāne nā yāroṅ ke binā
khoyā khoyā sā maiṅ rahūṅ
yād ā rahe bīte din mujhe
kaise ye ghuṭan maiṅ sahūṅ
dekho zarā gaur se achchhā sā jel hai
tum sāre rahte jahāṅ
nā koī khvāb hai nā koī raṅg hai
nā koī hai dāstāṅ
nīṅd se jāgo sāth mere bhāgo
muśhkil hai jīnā yahāṅ
pūchho zarā hai kaisī ziṅdgī
jaise jiyo hai vaisī ziṅdgī
jahāṇ hai ġham vahīṅ khuśhī
ye socho to zarā
ye maiṅ kahāṅ …
nafarteṅ yahāṅ ruktī hī nahīṅ
is duniyā meṅ pyār hai
begānā hai yahāṅ koī bhī nahīṅ
aisā ye parivār hai
dhartī kī god meṅ ye apnā svarg hai
hṇs ke yahāṅ rahte haiṅ ham
haiṅ ūṇche hausle ummīdeṅ bhī haiṅ javāṅ
hamko nā yahāṅ koī ġham
nādāṅ hai bachchā hai akla kā tū kachchā hai
tujhko nahīṅ kuchh bhī patā
buḍḍhe peṛ ho kuchh nā pāoge
jhukoge nā jo tum to ṭūṭ jāoge
nā zid karo re mān lo ye kahnā tum merā
ātī jātī haiṅ muśhkileṅ baṛī
hār ham kabhī mānte nahīṅ
jān jāoge mān jāoge
tum abhī hameṅ jānte nahīṅ
ye batāeṅge beṭā kal tujhe
būṛhe peṛ hī deṅge phal tujhe
buzurgoṅ kī jo nā sune vo roe bād meṅ
ye maiṅ kahāṅ …