kiśhor: inthā ho gaī, iṅtazār kī
āī na kuchh khabar, mere yār kī
ye hameṅ hai yaqīṅ, bevafā vo nahīṅ
phir vajah kyā huī, iṅtazār kī, inthā ho…
bāt jo hai usmeṅ bāt vo yahāṇ kahīṅ nahīṅ kisī meṅ
vo hai merī, bas hai merī, śhor hai yahī galī galī meṅ
sāth sāth vo hai mere ġham meṅ mere dil kī har khuśhī meṅ
ziṅdgī meṅ vo nahīṅ to kuchh nahīṅ hai merī ziṅdgī meṅ
bujh na jāye ye śhamā, aitbār kī
inthā ho…
latā: o, mere sajnā, lo maiṅ ā gaī
are, logoṅ ne diye hoṅge baṛe baṛe nazrāne
lāī hūṇ maiṅ tere liye dil merā
dil yahī māṇge duā ham kabhī hoṅ na judā
dil merā terā hai ye dil merā
ye merī ziṅdgī hai terī - 2
tū merā sapan, maiṅ tujhe pā gaī
o, mere sajnā, lo maiṅ ā gaī
lā lā…
kiśhor: ġhamoṅ ke aṅdhere ḍhale, bujhte sitāre jale
dekhā tujhe to diloṅ meṅ jān āī
hoṭhoṅ pe tarāne jage, armān dīvāne jage
bāhoṅ meṅ āke tū aise śharmāī
chhā gaī phir vohī bekhūdī
lā lā…
dono: lā lā…
kiśhor: vo ghaṛī kho gaī iṅtazār kī
ā gaī rut hasīṅ, rasm-e-yār kī
ye naśhā ye khuśhī, ab na kam hoṅ kabhī
umr bhar na ḍhale, rāt pyār kī