Title (Indic)मस्त आँखों में शरारत कभी ऐसी तो न थी WorkShama Year1961 LanguageHindi Credits Role Artist Music Ghulam Mohammed Performer Suraiya Writer Kaifi Azmi LyricsHindiमस्त आँखों में मस्त आँखों में शरारत कभी ऐसी तो न थी -2 यूँही शरमाने की आदत कभी ऐसी तो न थी -2 हो कोई बिजली है कि नस-नस में जो लहराती है मुझे क्या जाने कहाँ ले के उड़ी जाती है -2 शोख़ अंगड़ाई क़यामत कभी ऐसी तो न थी -3 दिल धड़कता है तो चेहरे पे निखार आता है वो तो वो है उसे अपने पे प्यार आता है -2 जैसी अब है मेरी हालत कभी ऐसी तो न थी -3 हो बहकी-बहकी हुई नज़रों का सलाम आता है दिल-ए-बेताब ठहर उनका पयाम आता है -2 है जो अब मुझपे इनायत कभी ऐसी तो न थी -3 मस्त आँखों में मस्त आँखों में शरारत कभी ऐसी तो न थी Englishmast āṇkhoṅ meṅ mast āṇkhoṅ meṅ śharārat kabhī aisī to na thī -2 yūṇhī śharmāne kī ādat kabhī aisī to na thī -2 ho koī bijlī hai ki nas-nas meṅ jo lahrātī hai mujhe kyā jāne kahāṇ le ke uṛī jātī hai -2 śhokh aṅgaṛāī qayāmat kabhī aisī to na thī -3 dil dhaṛaktā hai to chehre pe nikhār ātā hai vo to vo hai use apne pe pyār ātā hai -2 jaisī ab hai merī hālat kabhī aisī to na thī -3 ho bahkī-bahkī huī nazroṅ kā salām ātā hai dil-e-betāb ṭhahar unkā payām ātā hai -2 hai jo ab mujhpe ināyat kabhī aisī to na thī -3 mast āṇkhoṅ meṅ mast āṇkhoṅ meṅ śharārat kabhī aisī to na thī