ek mīṭhī sī chubhan, ek ṭhaṅḍī sī agan
maiṅ āj pavan meṅ pāūṇ, āj pavan meṅ pāūṇ
ek mīṭhī sī chubhan, ek ṭhaṅḍī sī agan
maiṅ āj pavan meṅ pāūṇ
man hī man maiṅ nāch rahī hūṇ, man hī man muskāūṇ
kyoṅ kī mīṭhī mīṭhī sī chubhan, ṭhaṅḍī ṭhaṅḍī sī agan
maiṅ āj pavan meṅ pāūṇ
jāg uṭhā hai pyār, jhūmeṅ sab saṅsār
aṅgḍāī lete haiṅ sapne, dhar ke rūp hajār
nāch uṭhā hai pyār, āj merā jhūm rahā saṅsār
man kā āṇgan jo sūnā thā, āyī hai usmeṅ bahār
kaṅgnā, pāyal
kaṅganvā khanke, pāyal chhamke
laṭ uljhī suljhāūṇ, śharmāūṇ, muskāūṇ
kyoṅ kī mīṭhī mīṭhī sī chubhan, ek ṭhaṅḍī sī agan
ai mere bhagvān, itnā kar ehsān
ye rasvaṅtī havā kahīṅ nā ban jāye tūfān
pyār merā nādān, man bhī hai anjān
jal nā jāye bair agan meṅ jīvan ke vardān
dhīraj bhāge, chiṅtā jāge
man hī man ghabrāūṇ, ghabrāūṇ, ghabrāūṇ