tū chaṅdā maiṅ chāṇdnī, tū taruvar maiṅ śhākh re
tū bādal maiṅ bijurī, tū paṅchhī maiṅ pāt re
nā saravar, nā bāvड़ī, nā koī ṭhaṅḍī chhāṇv
nā koyal nā papīhrā, aisā merā gāṇv re
kahā bujhe tan kī tapan, o saiyā sirmor
chaṅdrkiraṇ to chhoṛ kar, jāye kahā chakor
jāg uṭhī haiṅ sāṅvre, merī kuṅvārī pyās re
aṅgāre bhī lagne lage piyā aṅgāre bhī lagne lage
āj mujhe madhumās re
tujhe āṅchal meṅ rakhuṅgī o sāvre
kālī alkoṅ se bāṇdhuṅgī ye pāṇv re
gal baiyyā vo ḍālū kī chhūṭe nahī
merā sapnā sajan ab ṭūṭe nahī
mehaṅdī rachī hatheliyā, mere kājalvāre nain re
pal pal tujhe pukārte piyā pal pal tujhe pukārte
ho ho kar bechain re
o mere sāvan sajan, o mere siṅdūr
sājan saṅg sajnī banī mausam saṅg mayūr
chār pahar kī chāṇdnī mere saṅg bitā
apne hāthoṅ se piyā mohe lāl chunar oढ़ā
kesriyā dhartī lage, aṅbar lālam-lāl re
aṅg lagākar sāybā, aṅg lagā kar sāybā
kar de mujhe nihāl re