tū chaṅdā maiṅ chāṅdnī, tū taruvar maiṅ śhākh re
tū bādal maiṅ bijurī, tū paṅchhī maiṅ pāt re
nā sarovar, nā bāvaṛī, nā koī ṭhaṅḍī chhāṅv
nā koyal, nā papīhrā, aisā merā gāṅv re
kahāṇ bujhe tan kī tapan, o saiyāṅ sirmol(?)
chaṅdr-kiran to chhoṛ kar, jāe kahāṇ chakor
jāg uṭhī hai sāṅvre, merī kuāṅrī pyās re
(piyā) aṅgāre bhī lagne lage āj mujhe madhumās re
tujhe āṅchal maiṅ rakhūṇgī o sāṅvre
kālī alkoṅ se bāṇdhūṇgī ye pāṅv re
chal baiyāṇ vo ḍālūṅ kī chhūṭe nahīṅ
merā sapnā sājan ab ṭūṭe nahīṅ
meṅhdī rachī hatheliyāṇ, mere kājar-vāle nain re
(piyā) pal pal tujhe pukārte, ho ho kar bechain re
o mere sāvan sājan, o mere siṅdūr
sājan saṅg sajnī banī, mausam saṅg mayūr
chār pahar kī chāṅdnī, mere saṅg biṭhā
apne hāthoṅ se piyā mujhe lāl chunar uṛhā
kesriyā dhartī lage, ambar lālam-lāl re
aṅg lagā kar sāhib re, kar de mujhe nihāl re