phūloṅ ke raṅg se, dil kī kalam se, tujhko likhī roj pātī
kaise batāūṇ kis kis tarah se, pal pal mujhe tū satātī
tere hī sapne lekar ke soyā, terī hī yādoṅ meṅ jāgā
tere ख़yāloṅ meṅ uljhā rahā yūṇ jaise ke mālā meṅ dhāgā
bādal bijlī chandan pānī, jaisā apnā pyār
lenā hogā janam hame kaī kaī bār
itnā madīr, itnā madhur terā merā pyār
lenā hogā janam hame kaī kaī bār
sāṇsoṅ kī sargam dhaṛkan kī bīnā, sapnoṅ kī gītāṅjlī tū
man kī galī meṅ mahke jo hardam aisī jūhī kī kalī tū
chhoṭā safar ho, laṅbā safar ho, sūnī ḍagar ho yā melā
yād tū āe, man ho jāe, bhīṛ ke bīch akelā
bādal bijlī chandan pānī, jaisā apnā pyār.. ..
pūrab ho paśhchim, uttar ho dakṣhiṇ tū har jagah muskurāye
jitnā hī jāūṇ maiṅ dūr tujhse, utnī hī tū pās āye
āṅdhī ne rokā, pānī ne ṭokā, duniyā ne haskar pukārā
tasvīr terī lekin lie maiṅ, kar āyā sab se kinārā
bādal bijlī chandan pānī, jaisā apnā pyār.. ..