raṅgīlā re, tere raṅg meṅ, yūṇ raṅgā hai merā man
chhaliyā re, nā bujhe hai kisī jal se ye jalan
palkoṅ ke jhūle se, sapnoṅ kī ḍorī
pyār ne bāṅdhī jo, tū ne vo toḍī
khel ye kaisā re, kaisā re sāthī
diyā to jhūme hai, roye hai bātī
kahī bhī jāe re, roye yā gāye re
chain nā pāe re hiyā, vāh re pyār vāh re vāh
duḥakh merā dulhā hai, birhā hai ḍolī
āṅsū kī sāṛī hai, āhoṅ kī cholī
āg maiṅ pīū re jaise ho pānī
nā re dīvānī hūṇ pīṛā kī rānī
manvā ye jale hai, jag sārā chhale hai
sāṅs kyoṅ chale hai piyā, vāh re pyār vāh re vāh
maiṅne to siṅchī re terī ye rāheṅ
bāhoṅ meṅ terī kyoṅ auroṅ kī bāheṅ
kaise tū bhūlā vah phūloṅ sī rāteṅ
samjhī jab āṇkhoṅ ne āṇkhoṅ kī bāteṅ
gāṇv har chhūṭā re, sapnā har ṭūṭā re
phir bhī tū rūṭhā re piyā, vāh re pyār vāh re vāh