phūloṅ ke raṅg se, dil kī kalam se
tujhko likhī roz pātī
kaise batāūṇ, kis kis tarah se
pal pal mujhe tū satātī
tere hī sapne, lekar ke soyā
terī hī yādoṅ meṅ jāgā
tere khayāloṅ meṅ uljhā rahā yūṇ
jaise ke mālā meṅ dhāgā
hāṇ, bādal bijlī chaṅdan pānī jaisā apnā pyār
lenā hogā janam hameṅ, kaī kaī bār
hāṇ, itnā madir, itnā madhur terā merā pyār
lenā hogā janam hameṅ, kaī kaī bār
sāṇsoṅ kī sargam, dhaṛkan kī vīnā,
sapnoṅ kī gītāṇjlī tū
man kī galī meṅ, mahke jo hardam,
aisī juhī kī kalī tū
chhoṭā safar ho, lambā safar ho,
sūnī ḍagar ho yā melā
yād tū āe, man ho jāe, bhīṛ ke bīch akelā
hāṇ, bādal bijlī, chaṅdan pānī jaisā apnā pyār
lenā hogā janam hameṅ, kaī kaī bār
pūrab ho pachchhim, uttar ho dakkhin,
tū har jagah muskurāe
jitnā bhī jāūṇ, maiṅ dūr tujhse,
utnī hī tū pās āe
āṇdhī ne rokā, pānī ne ṭokā,
duniyā ne hṇs kar pukārā
tasvīr terī, lekin liye maiṅ, kar āyā sabse kinārā
hāṇ, bādal bijlī, chaṅdan pānī jaisā apnā pyār
lenā hogā janam hameṅ, kaī kaī bār
hāṇ, itnā madir, itnā madhur terā merā pyār
lenā hogā janam hameṅ, kaī kaī bār
kaī, kaī bār… kaī, kaī bār …