vo apnī yād dilāne ko
ik iśhq ki duniyā chhoṛ gaye
jaldī men lipisṭik bhūl gaye
rūmāl purānā chhoṛ gaye
āśhiq jo hue the ham unapar
din-rāt lagāte the chakkar
sab kuchh to batāyā ham ne magar
piṭ jāne kā qissā chhoṛ gaye
daulat kā hameṅ armān rahā
is iśhq meṅ bhī nuqsān rahā
do āne kā bhī jo bik na sakā
pītal kā vo bundā chhoṛ gae
muflis the janāb-e-majnūṇ bhī
sunte haiṅ jab unkī maut āī
pākiṭ se na niklī ik pāī
lail kā vo kuttā chhoṛ gaye
jīne se haiṅ ham apne khafā
aur marne se hai ḍar lagtā
the mard jinhoṅ ne zahar piyā
ārām se duniyā chhoṛ gaye
talvār dikhā kar ham ne kahā
kartī ho hameṅ tum kyoṅ rusvā
sun logī kisī din murlī-dhar
is iśhq meṅ duniyā chhoṛ gaye