la: chalā bhī ā ājā rasiyā
o jāne vāle ā jā terī yād satāe
khvāboṅ kā gharauṅdā kahīṅ ṭūṭ na jāe
chalā bhī ā …
murjhā chale haiṅ armān sāre
dhuṇdhlā gae haiṅ sabhī ujle nazāre
jīūṇgī maiṅ kaise ġhamoṅ ke sahāre
tarsī nigāheṅ merī tujhko sadā deṅ tujhko pukāreṅ
chalā bhī ā ājā rasiyā
baiṭhī hūṇ maiṅ kab se terī ās lagāe
o jāne vāle …
itnā batā jā tere dil meṅ kyā hai
ā ke batā jā merī kyā khatā hai
is zindgī kā tū hī āsrā hai
kyā vo khatā hai jispe khafā hai jiskī sazā hai
dil to gayā merā kahīṅ jān na jāe
jāne vāle …
ra: merī lagan ko kahāṇ tūne jānā
tere lie to merā dil hai dīvānā
har sāṇs merī terā hī tarānā
ye zindgānī kyā hai terī kahānī hai terā hī fasānā
terā merā vo hai riśhtā
ke ṭūṭeṅ jo balāeṇ to bhī ṭūṭ na pāe
do: ṭūṭeṅ jo balāeṇ to bhī ṭūṭ na pāe -2