kabhī sochtā hūṇ ke maiṅ kuchh kahūṇ
kabhī sochtā hūṇ ke maiṅ chūp rahūṇ
ādmī jo kahtā hai, ādmī jo suntā hai
jiṅdgībhar vo sadāye pīchhā kartī hai
ādmī jo detā hai, ādmī jo letā hai
jiṅdgībhar vo duvāyeṅ pīchhā kartī hai
koī bhī ho har khvāb to sachchā nahīṅ hotā
bahot zyādā pyār bhī achchhā nahīṅ hotā
kabhī dāman chhuṛānā ho to muśhkil ho
pyār ke riśhteṅ ṭūṭe to, pyār ke raste chhūṭe to
rāste meṅ phir vafāyeṅ pīchhā kartī hai
kabhī kabhī man dhūp ke kāraṇ tarastā hai
kabhī kabhī phir jhūm ke sāvan barastā hai
palak jhapkeṅ yahā mausam badal jāye
pyās kabhī miṭtī nahī, ek būṇd bhī miltī nahīṅ
aur kabhī rimjhim ghaṭāyeṅ pīchhā kartī hai