ho umaṛ-ghumaṛ kar āī re ghaṭā -2
kāre-kāre badrā kī chhāī-chhāī re ghaṭā
jab sanan pavan ko lagā tīr
bādal ko chīr niklā re nīr
jhar-jhar jhar-jhar ab dhār jhare
o dhartī jal se māṇg bhare
o umaṛ-ghumaṛ kar …
la: nanhīṅ-nanhīṅ būṇdniyoṅ kī khanan-khanan khan khanjrī
bajātī āī bajātī āī dekho bhāī barkhā dulhniyā -2
chhuk-chhuk chhuk-chhuk saiṅyā
āj ḍārūṇ tore galvā meṅ baiṅyā
maiṅ to nāchūṇ tere saṅg-saṅg saiṅyā ho saiṅyā ho saiṅyā
ho sāvan kā sandesā lekar niklī jogan ghar se
jo koī iske pyār ko tarse vahīṅ navelī barse
kāre-kāre bādarvā kī jhanan-jhanan jhan jhāṇjhrī
bajātī āī hai dekho bhāī barkhā dulhniyā -2
ho umaṛ-ghumaṛ kar …
mīṭhī-mīṭhī mast pavan kī sanan-sanan san bāṇsurī
bajātī āī dekho bhāī barkhā dulhniyā
ho umaṛ-ghumaṛ kar …
harī-harī chunrī sāje kaliyoṅ kā kṇgnā bāje
dekh ke apnī barkhā rānī kī mīṭhī muskān re
sāvan ke dūlhe kī chamak uṭhī śhān re
gorī-gorī bijuriyā kī chamak-chamak cham akhaṇḍī
chamkātī āī dekho bhāī barkhā dulhniyā
ho umaṛ-ghumaṛ kar …
raṅg-biraṅgī jholī bharke bharan-bharan bhaṇḍār re
luṭātī āī dekho bhāī barkhā dulhniyā
ho umaṛ-ghumaṛ kar …
dhartī ne gaṭhrī kholī
bharī-bharī apnī jholī anmolī bhaiyā
khelo-khelo khuśhiyoṅ kī holī ho holī ho holī
dhan-dhan hamrī dhartī
sabke jīvan ke ye adhūre sapne pūre kartī
dekho-dekho ghar-ghar hamāre lahar-lahar ānand kī
lahrātī āī dekho bhāī barkhā dulhniyā
ho umaṛ-ghumaṛ kar …