ai mālik tere baṅde ham
aise ho hamāre karam
nekī par chaleṅ
aur badī se ṭaleṅ
tāki haṅste huye nikle dam
jab zulmoṅ kā ho sāmnā
tab tū hī hameṅ thāmnā
vo burāī kareṅ
ham bhalāī bhareṅ
nahīṅ badle kī ho kāmnā
baṛh uṭhe pyār kā har kadam
aur miṭe bair kā ye bharam
nekī par chaleṅ …
ye aṅdherā ghanā chhā rahā
terā insān ghabrā rahā
ho rahā bekhabar
kuchh na ātā nazar
sukh kā sūraj chhipā jā rahā
hai terī rośhnī meṅ vo dam
jo amāvas ko kar de pūnam
nekī par chaleṅ …
baṛā kamazor hai ādmī
abhī lākhoṅ haiṅ ismeṅ kamīṅ
par tū jo khaṛā
hai dayālū baṛā
terī kṛpā se dhartī thamī
diyā tūne jo hamko janam
tū hī jhelegā ham sabke ġham
nekī par chaleṅ …