ai mālik tere baṅde ham, aise ho hamāre karam
nekī par chale aur badī se ṭale, tākī haste huye nikle dam
ye aṅdherā ghanā chhā rahā, terā insān ghabrā rahā
ho rahā bekhbar, kuchh nā ātā nazar, sukh kā sūraj chhupā jā rahā
hai terī rośhnī meṅ jo dam, to amāvas ko kar de pūnam
baṛā kamjor hai ādmī, abhī lākhoṅ haiṅ is meṅ kamī
par tū jo khaṛā, hai dayālū baṛā, terī kripā se dhartī thamī
diyā tūne hameṅ jab janam, tū hī jhelegā ham sab ke ग़m
jab julmoṅ kā ho sāmnā, tab tū hī hameṅ thāmnā
vo burāī kare, ham bhalāī bhare, nahīṅ badle kī ho kāmnā
baṛh uṭhe pyār kā har kadam aur miṭe bair kā ye bharm