the prelude vas not in the version ī heard
dhartī kī sulagtī chhātī ke bechain śharāre pūchhte haiṅ
ye kiskā lahū hai kaun marā -2
ai rahbar mulq-o-qaum batā
ye kiskā lahū hai kaun marā
ye jalte huye ghar kiske hai
ye kaṭte huye tan kiske haiṅ
taqsīm ke aṅdhe tūfāṇ meṅ
luṭte huye gulaśhan kiske haiṅ
bad-bakht khizāyeṅ kiskī haiṅ
barbād naśheman kiske haiṅ
kuchh ham bhī suneṅ hamko bhī sunā
ai rahbar mulq-o-qaum batā
ye kiskā lahū hai kaun marā
kis kām ke haiṅ ye dīn dharam
jo śharm kā dāman chāk kareṅ
kis tarah ke haiṅ ye deśh bhagat
jo baste gharoṅ ko khāk kareṅ
ye rūheṅ kaisī rūheṅ haiṅ
jo dhartī ko nāpāk kareṅ
āṇkheṅ to uṭhā nazreṅ to milā
ai rahbar mulq-o-qaum batā
ye kiskā lahū hai kaun marā
jis rām ke nām pe khūn bahe
us rām kī izazat kyā hogī
jis dīn ke hāthoṅ lāj luṭe
us dīn kī qīmat kyā hogī
insān kī is zillat se pare
śhaitān kī zillat kyā hogī
ye ved haṭā quraān uṭhā
ai rahbar mulq-o-qaum batā
ye kiskā lahū hai kaun marā