baġhāvat kā khulā paiġhām detā hūṇ javānoṅ ko
are uṭho uṭh kar miṭā do tum ġhulāmī ke niśhānoṅ ko
jay jannī jay bhārat māṇ -3
uṭho gaṅgā kī godī se, uṭho satluj ke sāhil se
uṭho dakkhan ke sīne se, uṭho baṅgāl ke dil se
nikālo apnī dhartī se bideśhī hukmarānoṅ ko
uṭho uṭh kar miṭā do tum ġhulāmī ke niśhānoṅ ko
jay jannī jay bhārat māṇ -3
khizāṇ kī qaid se ujaṛā chaman āzād karnā hai
hameṅ apnī zamīṅ apnā chaman āzād karnā hai
jo ġhaddārī sikhāyeṅ khīṇch lo unkī zabānoṅ ko
uṭho uṭh kar miṭā do tum ġhulāmī ke niśhānoṅ ko
jay jannī jay bhārat māṇ -3
ye saudāgar jo is dhartī pe qabzā kar ke baiṭhe haiṅ
hamāre khūn se apne khazāne bhar ke baiṭhe haiṅ
inheṅ kah do ke ab vāpas kareṅ sāre khazānoṅ ko
uṭho uṭh kar miṭā do tum ġhulāmī ke niśhānoṅ ko
jay jannī jay bhārat māṇ -3
jo in khetoṅ kā dānā duśhmnoṅ ke kām ānā hai
jo in kānoṅ kā sonā ajanbī deśhoṅ ko jānā hai
to phūṇko sārī fasloṅ ko jalā do sārī kānoṅ ko
uṭho uṭh kar miṭā do tum ġhulāmī ke niśhānoṅ ko
jay jannī jay bhārat māṇ -3
bahut jhelīṅ ġhulāmī kī balāyeṅ ab na jheleṅge
chaṛheṅge phāṇsiyoṅ par goliyoṅ ko hṇs ke jheleṅge
unhīṅ par moṛ deṅge unkī topoṅ ke dahānoṅ ko
uṭho uṭh kar miṭā do tum ġhulāmī ke niśhānoṅ ko