Title (Indic)तेरी दुनिया से दूर, चले होके मजबूर, हमें याद रखना WorkZabak Year1961 LanguageHindi Credits Role Artist Music Chitra Gupta Performer Mohammad Rafi Performer Lata Mangeshkar Writer Prem Dhawan LyricsHindiतेरी दुनिया से दूर, चले होके मजबूर, हमें याद रखना जाओ कहीं भी सनम, तुम्हें इतनी क़सम, हमें याद रखना 1) आएंगी बहारें तो तेरे ही फ़साने सुनाएंगी हमें होगी तन्हाई तो आके तेरी यादें रुलाएंगी हमें रुलाएंगी हमें, तड़पाएंगी हमें कभी देखी थी बहार, कभी हम से था प्यार हमें याद रखना, जाओ … 2) लेजा जानेवाले दुआएं मेरे दिल की किसी से क्या गिला तेरी ही खता है ना मेरी ही खता है जो होना था हुआ जो होना था हुआ, है किसी से क्या गिला देखो रोए मेरा प्यार, कहे दिल की पुकार हमें याद रखना, तेरी … Englishterī duniyā se dūr, chale hoke majbūr, hameṅ yād rakhnā jāo kahīṅ bhī sanam, tumheṅ itnī qasam, hameṅ yād rakhnā 1) āeṅgī bahāreṅ to tere hī fasāne sunāeṅgī hameṅ hogī tanhāī to āke terī yādeṅ rulāeṅgī hameṅ rulāeṅgī hameṅ, taṛpāeṅgī hameṅ kabhī dekhī thī bahār, kabhī ham se thā pyār hameṅ yād rakhnā, jāo … 2) lejā jānevāle duāeṅ mere dil kī kisī se kyā gilā terī hī khatā hai nā merī hī khatā hai jo honā thā huā jo honā thā huā, hai kisī se kyā gilā dekho roe merā pyār, kahe dil kī pukār hameṅ yād rakhnā, terī …