Title (Indic)तेरी दुनिया से दूर, चले हो के मजबूर, हमे याद रखना WorkZabak Year1961 LanguageHindi Credits Role Artist Music Chitragupt Performer Mohammad Rafi Performer Lata Mangeshkar Writer Prem Dhawan LyricsHindiतेरी दुनिया से दूर, चले हो के मजबूर हमें याद रखना जाओ कहीं भी सनम, तुम्हे इतनी कसम हमें याद रखना आयेंगी बहारें तो तेरे ही फसाने सुनायेंगी हमें होगी तनहाई तो आके तेरी यादे रुलायेंगी हमें रुलायेंगी हमें, तड़पायेंगी हमें कभी देखी थी बहार, कभी हमसे था प्यार, ज़रा याद रखना ले जा जानेवाले दुआएं मेरे दिलकी, किसीसे क्या गिला तेरी ही खता है ना मेरी ही खता है, जो होना था हुआ जो होना था हुआ, है किसी से क्या गिला देखो रोए मेरा प्यार, कहे दिल की पुकार, हमें याद रखना Englishterī duniyā se dūr, chale ho ke majbūr hameṅ yād rakhnā jāo kahīṅ bhī sanam, tumhe itnī kasam hameṅ yād rakhnā āyeṅgī bahāreṅ to tere hī phasāne sunāyeṅgī hameṅ hogī tanhāī to āke terī yāde rulāyeṅgī hameṅ rulāyeṅgī hameṅ, taṛpāyeṅgī hameṅ kabhī dekhī thī bahār, kabhī hamse thā pyār, zarā yād rakhnā le jā jānevāle duāeṅ mere dilkī, kisīse kyā gilā terī hī khatā hai nā merī hī khatā hai, jo honā thā huā jo honā thā huā, hai kisī se kyā gilā dekho roe merā pyār, kahe dil kī pukār, hameṅ yād rakhnā