tūfāṇ kī rāt
jismoṅ meṅ śhole bahakne kī rāt
jazbātoṅ meṅ ghuṭ ke jalne kī rāt
aṇgāroṅ pe hai machalne kī rāt
ye hai mohabbat kī rāt
garmī lahū kī nā ṭhaṇḍī paṛe
sāṇsoṅ meṅ sāṇseṅ pighaltī raheṅ
ye hai mohabbat ki rāt
parbat jaisā dil ye āj bhaṛak uṭhegā
armānoṅ kā lāvā phūṭegā
madhośhī chhāyegī to har bandiśh ṭūṭegī
mom ke jaise tan ye pighlegā
haṅgāme kī śhab hai
tan-man meṅ ek taṛap hai
ye śhabnam āg banī hai
jāne kyā raṅg lāyegī ye rāt
jośh meṅ ab ye javānī hai
nā samjhegī nā mānegī
ye zālim dīvānī hai
aur us pe hai qātil sī ye rāt
phir sārī hī hadoṅ ko āj toṛne kī rāt
jo chāhtā hai dil vo kar guzarne kī ye rāt
hai zaṅjīroṅ ke ṭūṭ kar bikharne kī ye rāt
ye rāt zalazloṅ kī
har khatre se hai āj to ṭakrāne kī ye rāt
hai hausloṅ ko āj āzmāneṅ kī ye rāt
har qaid ko ab toṛ ke nikalne kī ye rāt
ye rāt zalazloṅ kī
iśhq meṅ kisī ke hai luṭ jāne kī ye rāt
hai jism-o-jāṇ ke āj to miṭ jāne kī ye rāt
āj to hai rūh ke jag uṭhne kī ye rāt
%(today is the night of soul getting avke)