jāṇ merī jān-e-jānā saṅg-saṅg chaleṅ kahīṅ
hāthoṅ meṅ hāth tum mere sāth rukeṅ nā ham kahīṅ
ṭimṭimṭimāte tāre mil ke dete haiṅ rośhnī
jagamag jagamag jagamag jugnū chamkāyeṅ rāt hasīṅ
ṭim ṭim ṭim ṭim ṭim ṭim tāre deṅ rośhnī
jagamgajag jagamgajag jugnū se rāt hasīṅ
to jhilmilāyeṅ us tarah ṭimṭimāyeṅ us tarah
ham-tum bhī mil ke kyūṇ nā jagamgāyeṅ ziṅdgī
tinke juṛeṅ to bantā hai āśhiyānā
būṇdeṅ bhare haiṅ sāgar ka paimānā
bas usī tarah se bas usī tarah se apne dil mileṅ
to mausam ho jāye āśhiqānā
apne hoṅṭhoṅ pe hai hardam mīṭhā-mīṭhā ek tarānā
yāro apnā dil baṛā hai śhāyrānā śhāyrānā
hameṅ patā hai ek āg hai udhar bhī
pahuṇchī hai jiskī āṇch to idhar bhī
hamko patā hai ek āg hai udhar bhī
pahuṇchī hai jiskī āṇch to idhar bhī
āsrā jale ham āsrā jale donoṅ ke iśhq mileṅ
to rośhan ho jāye ye jahāṇ bhī
śholā-śholā bhaṛke zarā
zarrā-zarrā chamke zarā
jiyā-jiyā sulge zarā
roāṇ roāṇ damke zarā
%(let the soft hairs glov)