jumblikā jumblikā jumbā le jumbā le
maze kī bāt suno dil kā hāl suno
mile jab un se nazar huā kuchh aisā asar
dhak-dhak nāche hai dil sīne meṅ pal-pal
un kī nigāhoṅ ne machāī hai halchal
ek do tīn chār hazār bār
ab yahī gāūṇ maiṅ bār-bār
āṇkhoṅ se jo usne chhuā to ham gaye kām se
bechainiyāṇ ham ko milīṅ vo to hai ārām se
laboṅ pe pyārī sī hṇsī unke thamī hai
jān pe hamārī magar kaise banī hai
ye śharārat hai pyār kī o divānī
śhurū yūṇ hī hotī hai prem-kahānī
sitam pe sitam ḍhāte haiṅ vo
pyār bhī yūṇ jatāte haiṅ vo
mohabbat meṅ dekho thirakne lage haiṅ kadam dil ye gāne lagā
pahle kabhī dekhe nahīṅ sapne vo āne lage
hālat ye hai kī nīṅd meṅ ham muskrāne lage
āinā dekhūṇ to vo bhī āte haiṅ nazar
unhīṅ kī hai fiqar maiṅ hūṇ khud se bekhbar
qaid meṅ hai ab terā dil to kisī ke
soch le tū kyā-kyā hogā āśhiqī meṅ
soch ke nahīṅ karte haiṅ pyār
hone do jo bhī hotā hai yār
haiṅ dil meṅ umaṅgeṅ haiṅ tan meṅ taraṅgeṅ laboṅ pe ye nagmā khilā
%(desires are in heart, vaves are in body, this song has blūmed on the lips)