so gayā, ye jahāṇ, so gayā āsmāṅ
so gayī haiṅ sārī maṅjile, so gayā hai rastā
rāt āī to voh jinke ghar the, voh ghar ko gaye, so gaye
rāt āī to ham jaise āvārā phir nikle, rāhoṅ meṅ aur kho gaye
is galī, us galī, is nagar, us nagar
jāye bhī to kahāṇ, jānā chāhe agar
so gayī haiṅ sārī maṅjile, so gayā hai rastā
kuchh merī suno, kuchh apnī kaho
ho pās to aise chūp nā raho
ham pās bhī haiṅ, aur dūr bhī haiṅ
āzād bhī haiṅ, majbūr bhī haiṅ
kyoṅ pyār kā mausam bīt gayā
kyoṅ ham se jamānā jīt gayā
har ghaṛī merā dil gam ke ghere meṅ hai
jiṅdgī dūr tak ab aṅdhere meṅ hai
so gayī haiṅ sārī maṅjile, so gayā hai rastā