dev: chāhe āsmān ṭūṭ paṛe
chāhe dhartī phūṭ jāye
chāhe hastī hī kyoṅ na miṭ jāye
phir bhī maiṅ …
nūtan: phir bhī maiṅ?
rafī: tere ghar ke sāmne
ik ghar banāūṅgā, tere ghar ke sāmne
duniyā basāūṅgā, tere ghar ke sāmne
ik ghar banāūṅgā, tere ghar ke sāmne
latā: ghar kā banānā koī, āsān kām nahīṅ
duniyā basānā koī, āsān kām nahīṅ
rafī: dil meṅ vafāyeṅ hoṅ to, tūfāṅ kinārā hai
bijlī hamāre liye, pyār kā iśhārā hai
tan man luṭāūṅgā, tere ghar ke sāmne
duniyā basāūṅgā, tere ghar ke sāmne
ik ghar banāūṅgā, tere ghar ke sāmne
latā: kahte haiṅ pyār jise, dariyā hai āg kā
yā phir naśhā hai koī, jīvan ke rāg kā
rafī: dil meṅ jo pyār ho to, āg bhī phūl hai
sachchī lagan jo ho to, parbat bhī dhūl hai
tāre sajāūṅgā, tere ghar ke sāmne
duniyā basāūṅgā, tere ghar ke sāmne
ik ghar banāūṅgā, tere ghar ke sāmne
latā: kāṅṭoṅ bhare haiṅ lekin, chāhat ke rāste
tum kyā karoge dekheṅ, ulafat ke vāste
rafī: ulafat me tāz chhūṭe, ye bhī tumheṅ yād hog
ulafat me tāz bane, ye bhī tumheṅ yād hog
maiṅ bhī kuchh banāūṅgā
latā: hūṇ
rafī: tere ghar ke sāmne
latā: dekheṅ
rafī: duniyā basāūṅgā, tere ghar ke sāmne
ik ghar banāūṅgā, tere ghar ke sāmne