(rafī: dekho rūṭhā nā karo, bāt nazroṅ kī suno
latā: ham na boleṅge kabhī, tum satāyā nā karo ) - 2
rafī: dekho rūṭhā nā karo
rafī: chehrā to lāl huā, kyā kyā hāl huā
is adā par terī, maiṅ to pāgal huā
tum bigaṛne jo lago, aur bhī haṅsīṅ lago
latā: ham na boleṅge kabhī, tum satāyā nā karo
rafī: dekho rūṭhā nā karo
latā: jān par merī banī, āpkī ṭhahrī haṅsī
hāy, maiṅ jān gaī, pyār kī chiknāgrī (?)
dil jalāne ke liye, ṭhaṅḍī āheṅ na bharo
rafī: dekho rūṭhā nā karo, bāt nazroṅ kī suno
latā: ham na boleṅge kabhī
rafī: terī khuśhbū ne mere, hośh bhī chhīn liye
haiṅ khuśhī āj hame, tere pahlū meṅ gire
dil kī dhaṛkan pe zarā, phūl sā hāth rakho
latā: ham na boleṅge kabhī, tum satāyā nā karo
rafī: dekho rūṭhā nā karo
latā: kyā kahegā ye samā, in rāhoṅ kā dhuṇā
lāj āe mujhe, mujhko lāe ho kahāṇ
ham tumhe mān gae, tum baṛe vo ho haṭo
rafī: dekho rūṭhā nā karo, bāt nazroṅ kī suno
latā: ham na boleṅge kabhī, tum satāyā nā karo
rafī: dekho rūṭhā nā karo