naī umar kī kaliyoṅ tumko dekh rahī duniyā sārī
tumpe baṛī zimmedārī
ghar-ghar ko tum svarg banānā -2
har āṇgan ko phulvārī
hampe baṛī zimmedārī
dekh rahī duniyā sārī
tum us deśh meṅ janmī ho jis deśh meṅ janmī thī sītā -2
tum us deśh kī kanyā ho jis deśh meṅ gūṇj rahī gītā
kabhī bhūl kar bhī na lagānā -2
jīvan meṅ tum chingārī
ghar-ghar ko tum svarg banānā
har āṇgan ko phulvārī
hampe baṛī zimmedārī
dekh rahī duniyā sārī
ye na bhūlnā jahāṇ jahāṇ hai phūl vahāṇ haiṅ kāṇṭe bhī -2
jahāṇ jahāṇ par hote haiṅ tūfān vahāṇ sannāṭe bhī
tum is jag meṅ hṇs hṇs jīnā mat karnā man ko bhārī
ghar-ghar ko tum svarg banānā
har āṇgan ko phulvārī
hampe baṛī zimmedārī
dekh rahī duniyā sārī
dekho kahīṅ bhaṭak mat jān jhūṭhe hās vilāsoṅ meṅ -2
karnā aise kām tumhārā nām rahe itihāsoṅ meṅ
sāvdhān rahnā bahno -2
ā rahī tumhārī bhī bārī
ghar-ghar ko tum svarg banānā
har āṇgan ko phulvārī
( hampe baṛī zimmedārī
dekh rahī duniyā sārī ) -2